Monday, September 25, 2006

Ek Chota Sa Parivar

Cleveland ek chota sa shaher, jisme mera chota sa ek parivar. parivar ka naam - dillibillies

parivar mai log 11, ek cricket team ki tarah, naam hai jinke:

Bhaskar, Kuldeep, Vinod, Sanjay, Himanshu, Parimal, mai (Tulan),

Khyati T, Suchi,Meeta aur Khyati P.


Toh yeh huwa iss parivar ka parichai, aab suniye inki ek choti si dastan...


Toh janab..iss parivar ka saab se bada bhai, Sanjay. Inke baremai kya kahe hum. Ek nariyar ki tarah bahar se kadak aur under se naram, ekdham malai ki tarah. Lekin agar zidd pakad le, toh bhaiya baas, kissi ki nahi mante. par joh bhi ho..dil ka saacha sona hai yeh bhai.


Dusare number pe hai bhai Vinod. Vinod unme se hai ki bahar se bhi malai aur under se bhi malai, matlab aacha aur sulja huwa insaan. dik ka saacha, dimag ka pukka. vinod bhai ke shaukh hai bade bade..golf, tennis,ping pong, alag alag kissam ka khana vagera vagera. Jitni tarif ki jaye utni kaam hai.

Toh bhai tisare number pe hai Himanshu bhai, ke jo alag alag naam se jane jaate hai. jaise ki... hemant bhai, ganeshji, ganpat seth,harshad bhai, vagera. Agar kabhi kuch kharidne ki iccha ho aur agar mahengha lage, toh bhai himanshu bhai ko phone lagana chaiye. saab masale ka haal hai en ke paas.

Phir baari jamab hamari, yani ki Tulan. aab hum aapne baare mai kya kahe. yeh kaam hum baki logo pe rakhte hai.

Panchme number pe hai parimal bhai, yane ke tripathi sahab. yeh saheb bus ek iceberg ki tarah hai. dimag 100 manzil ka par dikhate hai kewal 10 manzile.Toh bhai yeh hai hamare finance guru, kaunsa stock kharidna chahiye aur kaunsa bechna, janab en huzur se pucheye.


Aab bari hai bhai kuldeep saheb hi. Yeh saheb lagta hai bhatak gaye hai. Dimag itna ki bus kya kahe hum, ekhdam Albert ki tarah, matlab Albert Einstein ki tarah. galati se yeh cleveland pahoch gaye. en ka future toh silicon valley mai hona chahiye.

Saatme number pe hai hamare chahite Bhaskar bhai. 100% saacha hira aur ekdham down to earth. Bus hume agar upsos hai toh iss baat ka ki bhaskar ko jab tak humne aache se jaana, tab tak woh hume chhod kar Seattle ja chuke aur billu bhai ke stocks ke daam bada rahe hai. Lekin yeh waada raha ke hum Seattle zaroor aayenge aur tumse phir milenge.

Aab baari hai hamare group ke char kaune, yaani ke mazboot foundation pillars ki.

Toh en mai pahele hai meeta - yeh toh bus jaise ho sita aur unke raam yaneke himanshu ki seva mai vyast raheti hai. chup chup si raheti hai par kabhi kabhi badiya pj bolti hai.

Phir baari hai suchi ki, yeh hai hamari raveena ji ke jiska vaakt doctor saheb ko oranges khilane mai hi chala jaata hai. suchi joh hai, ekdham josh mai raheti hai aur hamesha fun ke liye ready hoti hai.

Khyati T aur Khyati P ka toh kya kahena. Bhai maine aur parimal ne paake bahot sare aache kaam kiye the pichale janam mai joh hame aaisi biwi mili. Par yeh dono ladkiya itni similar hai ke airlines mai bhi ek hi seat designate ki jaati hai. Dono sushil, sanskari aur pati vrata stri hai.

Iss chote se parivar mai pyar hai, zagada hai, mar peet hai, khel kud hai, khana pina hai, gumna phirna hai, business ideas hai, josh hai, hosale hai, dukh baat kar kaam aur sukh baat kar ziyada karni ke saare characteristics hai.


Meri toh bhagwan se ek hi prathna hai..kitna bhi dukh ho, koi bhi jagah ho, kitna bhi kaam ho, koi bhi problem ho, bus meri ek iccha zaroor puri karna..har janam mai muje yehi log dosto ke rup mai nasib ho, kuch aisa chamatkar karna.

Toh bhaiyo yeh hai hamare chote se parivar ki ek choti si kahani.

3 Comments:

Blogger KT said...

People....what did you do to my Tullu on his birthday? Why is he sounding so senti??? I am not used to this avtar of him. I want my violent, agressive and unsentimental Tullu back.

12:16 PM, September 26, 2006  
Blogger Vinod said...

Khyati,
We returned his bicycle back, that too with the seat! and I think he is overwhelmed :) by that gesture!

But don't worry, We will take care of Tullu Darling.

3:28 PM, September 26, 2006  
Blogger Unknown said...

Looks like all the blood is heading back to the heart for Tully (the sore bum is finally starting to heal) ;-)

3:32 PM, September 26, 2006  

Post a Comment

<< Home